Support the Haiti Disaster Relief Effort

About Me

Delhi, Delhi, India

Sunday, April 4, 2010

Bhula na sakoge mujhe bhulkar tum

Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum
Main Aksar Tumhen Yaad Aata Rahunga
Kabhi Khwaab Bankar Kabhi Yaad Bankar
Kabhi Khwaab Bankar Kabhi Yaad Bankar
Main Neenden Tumhari Churata Rahunga
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum

Kabhi Jee Raha Hoon Kabhi Marr Raha Hoon
Mujhe Na Pata Main Kya Kar Raha Hoon
Ho Kabhi Bujh Raha Hoon Kabhi Jal Raha Hoon
Kadam Rokte Hai Magar Chal Raha Hoon
Main Yun Hi Chalunga Milo Na Milo Tum
Main Yun Hi Chalunga Milo Na Milo Tum
Main Aawaz Dekar Bulata Rahunga
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum

Satayegi Jab Jab Tumhen Bekaraari
Tumhe Yaad Aayegi Mohabbat Hamari
Ho Sunoge Kahi Jo Mohabbat Ki Baaten
Tumhen Yaad Aayenge Woh Din Woh Raaten
Guzaari Jo Tumne Baahon Mein Meri
Guzaari Jo Tumne Baahon Mein Meri
Main Sab Yaad Tumko Dilata Rahunga

Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum
Main Aksar Tumhen Yaad Aata Rahunga
Kabhi Khwaab Bankar Kabhi Yaad Bankar
Kabhi Khwaab Bankar Kabhi Yaad Bankar
Main Neenden Tumhari Churata Rahunga
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum
Bhula Na Sakoge Mujhe Bhulkar Tum

Donon ne kiya tha pyaar magar

MOHAMMAD RAFI
Donon Ne Kiya Tha Pyaar Magar
Mujhe Yaad Raha Tuu Bhuul Gayi
Maine Tere Liye Re Jag Chhoda
Tu Mujhako Chhod Chali
Tuune Mujhase Kiya Tha Kabhi Vaada
Meri Taal Pe Tuu Daudi Chali Aaegi
Kaisa Bandhan Hai Pyaar Ka Ye Bandhan
Ise Chhod Ke Tuu Kabhi Nahin Jaaegi
Kya Yahi Hai Vafa Mujhe Ye To Bata
Meri Mahuaa, Vo Tere Vaade Kya Hue
Kya Yahi Hai Vafaa, Mujhe Ye To Bataa, Meri Mahua
O Meri Jaanaa, Dono Ne Kiya Izahaar Magar
Aaj Main Apane Dil Ki Sada Se
Aasamaan Ko Hila Ke Rahuunga
Ai Maut Ki Nind Sone Vaali
Aaj Tujhako Jaga Ke Rahuunga
Tuu Na Jaagi To Aasamaan Ko Jaga Ke Rahuunga
Tuu Is Jag Mein Na Aai To Is Jag Ko Jala Ke Rahuunga
Tu Hai Mera Badan Main Badan Ka ??? Jala Ke Rahuunga
O Meri Aatama ??? Tujhe Aatama Se Milaake Rahuunga
Tuu Hai Meri Dulhan Aaj Hoga Milan Meri Mahua

Nigaahon ne chheda hai

SURESH WADKAR, SADHANA SARGAM
nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
(nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
sunakar kahin na tum bura maan jaana
(mainne kiya hai pyaar pahali baar) - 2) - 2
nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
(dil ki baatein aankhon se kya honthon se bolo sajana) - 2
yuun hai ki mujhako pyaar tumase ho gaya hai bas yahi kahana
(hai bas yahi kahana o jaan-e-jaanaan) - 2
(mainne kiya hai pyaar pahali baar) - 2
nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
aa ha
dil ki haalat kaise dikhaayuun
socha hi karata tha jatan
aankhon mein ab to rahane lagi hai
suurat tumhaari jaan-e-man
(ras ki bhigi in aankhon mein aa main duub ke rah jaayuun)- 2
main bhi ye chaahuun aaj tere pyaar ke tuufaan mein bah jaauun
(tuufaan mein bah jaayuun dekhe zamaana) - 2
ki mainne kiya hai pyaar pahali baar
mainne kiya hai pyaar pahali baar
nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
(jaise ab hai waise kya tu kal bhi mujhako chaahega) - 2
jo aaj tujhako ye dil-o-jaan de chuka
kaise na chaahega
(chaahega chaahega kal bhi diwaana) - 2
(mainne kiya hai pyaar pahali baar) - 2
nigaahon ne chheda hai dil ka taraana
sunakar kahin na tum bura maan jaana
(mainne kiya hai pyaar pahali baar) - 2
(mainne kiya hai pyaar pahali baar mainne kiya hai pyaar pahali baar) - 2

Shyam teri bansi pukare radha naam

ARTI MUKHERJI & JASPAL SINGH
Shyam Teri Bansi Pukare Radha Naam
Log Karen Meera Ko Yoonhi Badnaam
Saanwre Ki Bansi Ko Bajne Se Kaam
Radha Ka Bhi Shyam Voh To Meera Ka Bhi Shyam
Jamuna Ki Lehren Bansibat Ki Chhaiyaan
Kiska Nahin Hai Kaho Krishan Kanhaiya
Shyam Ka Deewana To Saara Brij Dhaam
Log Karen Meera Ko Yoonhi Badnaam...
Kaun Jaane Baansuriya Kisko Bulaye
Jiske Man Bhaye Vo Usi Ke Gun Gaye
Kaun Nahin Bansi Ki Dhun Ka Gulaam
Radha Ka Bhi Shyam Voh To Meera Ka Bhi Shyam

Ek pyaar ka naghma hai

LATA MANGESHKAR, MUKESH
Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai, Maujon Ki Ravaani Hai
(Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai) - 2
Kuchh Paakar Khonaa Hai, Kuchh Khokar Paanaa Ha
i Jeevan Ka Matalab To, Aanaa Aur Jaanaa Hai
Do Pal Ke Jeevan Se, Ek Umr Churaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyaar Ka Naghamaa Hai

Tu Dhaar Hai Nadiyaa Ki, Main Teraa Kinaaraa Hoon
Tu Meraa Sahaaraa Hai, Main Teraa Sahaaraa Hoon
Aankhon Men Samandar Hai, Aashaaon Ka Paani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai

Toofaan To Aanaa Hai, Aakar Chale Jaanaa Hai
Baadal Hai Ye Kuchh Pal Kaa, Chhaakar Dhal Jaanaa Hai
Parachhaainyaan Rah Jaatin, Rah Jaati Nishaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahin, Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyaar Kaa Naghamaa Hai

Jab saamne tum aa jaate ho

Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale

Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye
Chorus: hm mm, hm mm mm mm (humming*)
Asha: jab saamne tumChorus: hm mm, hm mm mm mm

Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaane kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaane kya ho jaata hai
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2

Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham

Dekh kar tujhko yakeen hota hai -2
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai
Asha: jab saamne tumChorus: hm mm, hm mm mm mm

Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaane kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaane kya ho jaata hai
Chorus: hm mm mm mm mm mm, hm mm mm mm mm
Asha: ha haa haa haa, ho
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2

Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mat rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke

Bhool kar tumko na jee payenge -2
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2
Asha: jab saamne tum
Chorus: hm mm, hm mm mm mm

Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaane kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata ha
iChorus: hm mm, hm mm mm mm -5

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho ho
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm

chitthii aaii hai aaii hai chitthii aaii hai

chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai -2
chiTThii hai vatan se chiTThii aayii hai
ba.De dino.n ke baad, ham bevatano.n ko yaad -2
vatan kii miTTii aaii hai, chiTThii aaii hai ...

uupar meraa naam likhaa hai.n, a.ndar ye paigaam likhaa hai.n -2
o parades ko jaane vaale, lauT ke phir naa aane vaale
saat samu.ndar paar gayaa tuu, hamako zi.ndaa maar gayaa tuu
khuun ke rishte to.D gayaa tuu, aa.Nkh me.n aa.Nsuu chho.D gayaa tuu
kam khaate hai.n kam sote hai.n, bahut zyaadaa ham rote hai.n, chiTThii ...
suunii ho gaI.n shahar kii galiyaa.N, kaa.nTe ban gaI.n baag kii kaliyaa.N -2
kahate hai.n saavan ke jhuule, bhuul gayaa tuu ham nahii.n bhuule
tere bin jab aaii diivaalii, diip nahii.n dil jale hai.n khaalI
tere bin jab aaii holii, pichakaarii se chhuuTii golii
piipal suunaa panaghaT suunaa ghar shamashaan kaa banaa namuunaa -2
fasal kaTii aaii baisaakhii, teraa aanaa rah gayaa baakii, chiTThii ...

pahale jab tuu Kat likhataa thaa kaagaz me.n cheharaa dikhataa thaa -2
ba.nd huaa ye mel bhii ab to, khatam huaa ye khel bhii ab to
Dolii me.n jab baiThii bahanaa, rastaa dekh rahe the nainaa -2
mai.n to baap huu.N meraa kyaa hai, terii maa.N kaa haal buraa hai
terii biivii karatii hai sevaa, suurat se lagatii hai.n bevaa
tuune paisaa bahut kamaayaa, is paise ne desh chhu.Daayaa
pa.nchhii pi.njaraa to.D ke aajaa, desh paraayaa chho.D ke aajaa
aajaa umar bahut hai chhoTii, apane ghar me.n bhii hai.n roTii, chiTThii ...

tujh bin jii naa paaenge ham to sanam mar jaaenge

tujh bin jii naa paae.nge ham to sanam mar jaae.nge
tuu dha.Dakan hai mere dil kii na honaa dil se judaa
Pankaj:
is duniyaa me.n sabase ba.Dhakar tujhase pyaar hai mujhako (2)
saa.Nso.n kii za.njiir me.n dilabar rakh lo baa.Ndh ke mujhako
hamasaayaa teraa ban jaaye.nge jiivan tujhe banaae.nge
tuu dha.Dakan hai mere dil kii na honaa dil se judaa
Anuradha:
tuu jaae to jaan bhii jaae tuu to jaan hai merii (2)
kaun mujhe pahachaane tujh bin tuu pahachaan hai merii
ham to jahaa.N bhii jaaye.nge tere hii kahalaaye.nge
tuu dha.Dakan hai mere dil kii na honaa dil se judaa
tujh bin jii naa paaye.nge ham to sanam mar jaye.nge
tuu dha.Dakan hai mere dil kii na honaa dil se judaa

chaa.Ndii jaisaa ra.ng hai teraa sone jaise baal

chaa.Ndii jaisaa ra.ng hai teraa sone jaise baal
ik tuu hii dhanavaan hai gorii baakii sab ka.ngaal
jis raste se tuu gujare vo phuulo.n se bhar jaaye (2)
tere pair kii komal aahaT sote bhaag jagaaye
jo patthar to chhuu le gorii vo hiiraa ban jaaye
tuu jisako mil jaaye vo
tuu jisako mil jaaye vo ho jaaye maalaamaal
ik tuu hii dhanavaan hai gorii baakii sab ka.ngaal
jo bera.ng hai.n usape kyaa kyaa ra.ng jamaate log (2)
tuu naadaan na jaane kaise ruup churaate log
nazare.n jii jii bhar ke dekhe.n aate jaate log
chhail chhabiilii raanii tho.Daa
chhail chhabiilii raanii tho.Daa ghuu.NghaT aur nikaalik
tuu hii dhanavaan hai gorii baakii sab ka.ngaal
ghanak ghaTaa kaliyaa.N aur taare sab hai.n teraa ruup (2)
gazale.n ho.n yaa giit ho.n mere sab me.n teraa ruup
yuu.N hii chamakatii rahe hameshaa tere husn kii dhuup
tujhe nazar naa lage kisii kii
tujhe nazar naa lage kisii kii jiye hazaaro.n saal
ik tuu hii dhanavaan hai gorii baakii sab ka.ngaal
chaa.Ndii jaisaa ra.ng hai teraa sone jaise baa
lik tuu hii dhanavaan hai gorii baakii sab ka.ngaal

Tum itanaa jo muskuraa rahe ho

Tum itanaa jo muskuraa rahe ho
kyaa Gam hai jisako chhupaa rahe ho
tum itanaa...aa.
aaNkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par
kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho
kyaa Gam hai...
ban jaaye.nge zahar piite piite - (2)
ye ashq jo piite jaa rahe ho
kyaa Gam hai...
waqt jin zakhmo.N ko bhar chalaa hai - (2)
tum kyo.N u.Nhai.N chhede jaa rahe ho
kyaa Gam hai...
rekhaao.n kaa khel hai muqaddar - (2)
rekhaao.n se maat khaa rahe ho

koi jo mila tho mujhe aisa ,Shanker Mahadevan

koi jo mila tho mujhe aisa lagtha tha jaise meri sari duniya meingeethon ki ruth aur rangonki barkha hai khushbu ki andhi hai mahki hui si ab sari fizaenhai bahki hui si ab sari havaen haikhooi hui si ab sari dishaen hai badli hui si ab sari adaen haijaagi umange hai, dhadak raha hai dil sason mein thoofan haihoton pe nagmein hai, aankhon mein sapne hai beethe hue sare woh lamhe haijab koi aya tha, nazron pe chaya tha dil mein samaya tha, kaise meinbathaun thumhe kaisa use paya tha pyar se chehre pe bikhri jojulfe tho aisa lagtha tha jaise kohre ke peeche ek os mein hdula hua phool khila hai jaise badal mein ek chand chupa hai aur jhank raha haijaise raath ke parde mein ek savera hai roshan roshan ankhon mein sapno ka sagar jisme prem sitharon ki chadar jaise jhalak rahi hai lahron lahronbaath kare tho jaise mothi barse jaise kahiin chandi ki payar goonje jaise kahi sheeshe ke jaam gire aur chanse toote jaise koi chupke sithar bajae jaise koi chandni raath mein gaaye jaise koi hole se paas bulae.kaisi meeti bathein thi woh kaisi mulakhathen thi woh jab maine jana tha nazron se kaise pigalthe hai dil aur aarzoo pathi hai kaise manzil aur kaise uthartha hai chand jameen par kaise kabhi lagtha hai swarg agarhai to bas hai yahin par usne bathaya mujhe aur samjhaya mujhe hum jo mile hai hum jaise hi milna tha ghul jo khile hai, unhe jaise hi khilna tha janmon ke bandhan, janmon ke rishthe haijab bhi hum janme tho hum yahin milthe hai kanom me mere jaise shahad se ghulne lage khwabon ki duniya bhi kithni hasin aur kaisi rangi thi khwaobn kiduniya jo kahne ko thi par kahin bhi nahi thi khwab jo tute mere ankhen jokhuli meri hosh jo aya mujhe maine dekha maine jaana woh jo kabhi aya tha nazron pe chayatha dil mein samaya ta jaa bhi chuka hai aur dil mera ab haithanha thanha naa tho koi arman hai, naa koi thamanna hai aur naa koi sapna hai ab jo mere din aur ab jo meri raath hai unmein sirf aansoo hai unme sirf dard ki ranj ki baathein hai aur faryad hai mera ab koi nahi, mai hoon aur khoe huepyaar ki yaadein hai...

Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga

Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga 2
Labj Girane Na Paaye Honton Se, Waqt Ke Haath Inako Chun Lenge
Kaan Rakhate Hain Ye Darodiva, Raaj Ki Saari Baat Sun Lenge
Aur Aahista Kijiye Baatein

Aise Bolo Ki Dil Ka Afasaana, Dil Sune Aur Nigaah Doharaaye 2
Apane Chaaro Taraf Ki Ye Duniya
Saans Ka Shor Bhi Na Sun Paaye, Na Sun Paaye
Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga
Labj Girane Na Paaye Hoton Se, Waqt Ke Haath Inako Chun Lenge
Kaan Rakhate Hain Ye Darodiva, Raaj Ki Saari Baat Sun Lenge
Aur Aahista Kijiye Batein...

Aayiye Band Karale Darwaaje, Raat Sapane Chura Na Le Jaaye 2
Koi Jhonka Hawa Ka Aawara, Dil Ki Baaton Ko Uda Na Le Jaye, Na Le Jaye
Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga
Labj Girane Na Paaye Hoton Se, Waqt Ke Haath Inako Chun Lenge
Kaan Rakhate Hain Ye Darodiva, Raaj Ki Saari Baat Sun Lenge
Aur Aahista Kijiye Baatein

Aaj Itane Karib Aa Jaao , Duriyon Ka Kahi Nishaan Na Rahe 2
Aise Ek Dusare Me Gum Ho Jayen, Faasala Koi Darmiya Na Rah Jaye, Na Rah Jaye
Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga
Labj Girane Na Paaye Hoton Se, Waqt Ke Haath Inako Chun Lenge
Kaan Rakhate Hain Ye Darodiva, Raaj Ki Saari Baat Sun Lenge
Aur Aahista Kijiye Baatein

Hui Mehangi Bahot Hi Sharaab Ke Thodi Thodi Piya Karo

Nasha Pankaj Udhas
Singers
Pankaj Udhas
Ye Intezaar Galat Ki Shaam Ho Jaaye
Jo Ho Sake To Abhi Dor Jaam Ho Jaaye
Mujh Jaise Rind Ko Bhi Tune Hashar Mein Ya Rab Bula Liya Hai To Kuchh Intezam Ho Jaaye
Hui Mehangi Bahot Hi Sharaab Ke Thodi Thodi Piya Karo

Piyo Lekin Rakho Hisab (Ke Thodi Thodi Piya Karo) 3
Hui Mehengi Bahot Hi Sharab Ke Thodi Thodi Piya Karo

Gum Ka Daur Ho Ya Ho Khushi Sama Bandhati Hai Sharab 3
Ek Mashwara Hai Janab (Ke Thodi Thodi Piya Karo) 3
Hui Mehangi Bahot Hi Sharab Ke Thodi Thodi Piya Karo

Dil Ke Zakhamnko Seena Kya Peene Ke Liye Jeena Kya 3
Phuk Daale Jigar Ke Sharaab (Ke Thodi Thodi Piya Karo) 3
Hui Mehangi Bahot Hi Sharab Kr Thodi Thodi Piya Karo
Dilbar Ki Baaton Mein Nasha Zulpho Me Nasha Ankhon Me Nasha 3

Maise Padake Usaka Shabab (Ke Thodi Thodi Piya Karo) 3
Hui Mehangi Bahot Hi Sharab To Thodi Thodi Piya Karo
Piyo Lekin Rakho Hisab (Ke Thodi Thodi Piya Karo) 5

Sabko Malum Hai Main Sharabi Nahi

Sabko Malum Hai Main Sharabi Nahi Phir Bi Koi Pilaye To Main Kya Karu 2
Sirf Ek Baar Nazaron Se Nazare Mile 2
(Aur Kasam Toot Jaye To Main Kya Karu) 2
Mujhko Maikash Samajhte Hai Sab Vaad A Kash 2
Kyunki Unaki Tarah Ladakhadata Hoon Main
Mere Rag Rag Mein Nasha Mohabbat Ka Hai 3
Jo Samajh Mein Na Aye To Main Kya Karu
Sirf Ek Bar Nazaron Se Nazare Mile 2
(Aur Kasam Toot Jaye To Main Kya Karu) 2
Haal Sunkar Mera Sehme Sehme Hai Woh 2
Koi Aaya Hai Zulfe Bikhere Hue
Maut Aur Zindagi Dono Hairan Hai 3
Dum Nikal Ne Na Paye Toh Main Kya Karu
Sirf Ek Bar Nazaron Se Nazare Mile 2
(Aur Kasam Toot Jaye To Main Kya Karu) 2
Dum Nikale Na Paye Main Kya Karu
Kaisi Lat Kaisi Chahat Kaha Ki Khata 2
Bekhudi Mein Hai Anabar Khudika Nasha
Zindagi Ek Nashe Ke Siva Kuchh Nahi 3
Tumko Peena Na Aaye To Main Kya Karu
Sirf Ek Baar Nazaron Se Nazare Mile 2
(Aur Kasam Toot Jaye To Main Kya Karu) 2
Sabko Malum Hai Main Sharabi Nahi Phir Bi Koi Pilaye To Main Kya Karu 2

Nasha Pankaj Udhas

Teri Nigaah Se Aisi Sharab Pi Maine Ki Phir Na Hosh Ka Daava Kiya Kabhi Maine
Woh Aur Honge Jinhe Maut Aa Gayi Hogi Nigaahen Yaar Se Paayi Hai Zindagi Maine
(Ai Gam E Zindagi 2 Kuchh To De Mashwara) 2
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Main Kaha Jaaun Hota Nahi Faisala
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Ek Taraf Baam Par Koi Gulpham Hai Ek Taraf Mehfilen Bada O Jaam Hai 2
Dil Ka Donose Hai Kuchh Na Kuchh Hai Vaasta
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Usake Dar Se Utha To Kidhar Jaaunga Maikada Chhod Dunga To Main Marr Jaaunga 3
Sakht Mushkil Mein Hoon Kya Karu Ai Khuda
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Zindagi Ek Hai Aur Talabgar Do Jaan Akeli Magar Jaan Ke Haqdaar Do 2
Dil Bata Pehele Kiska Karu Hak Ada
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Is Taaluk Ko Main Kaise Todu Jafar Kisko Apanaau Main Kisako Chodu Zafar 3
Mera Donose Rishta Hai Nazdik Ka
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
(Ai Gam E Zindagi 2 Kuchh To De Mashwara) 2
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2
Main Kaha Jaaun Hota Nahi Faisala
Ek Taraf Usaka Ghar Ek Taraf Maikada 2

Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain ,Pankaj Udhas

Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain 2
Wo Bade Khushanaseeb Hote Hain
Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain 2
Jab Tabiyat Kisi Pe Aati Hain 2
Maut Ke Din Karib Hote Hain 2
Wo Bade Khushanaseeb Hote Hain
Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain
Mujhase Milana Phir Aapka Milna 2
Aap Kisko Naseeb Hote Hain 2
Wo Bade Khushanaseeb Hote Hain
Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain
Zulm Seh Kar Jo Uff Nahi Karte 2
Unke Dil Bhi Ajeeb Hote Hain 2
Wo Bade Khushanaseeb Hote Hain
Aap Jin Ke Kareeb Hote Hain 2

Khushboo , Pankaj Udhas

Be Parada Nazar Aayi Jo Kal Chand Biviya
Akbar Jamin Mein Gairat Koni Se Gad Gaya
Pucha Jo Maine Aapaka Parada Wo Kya Huva
Kehane Lagi Ke Akll Par Marado Ke Pad Gaya
Nikalo Na Benaqab Niklo Na Benaqab Zamaana Kharaab Hai 2
Aur Usape Ye Shabaab Jamaana Kharaab Hai
Niklo Na Benaqab Zamaana Kharaab Hai
Sab Kuchh Hamein Khabar Hai Nasihat Na Kijiye 4
Kya Honge Hum Kharaab Jamaana Kharaab Hai 2
Aur Usape Ye Shabaab Jamaana Kharaab Hai
Niklo Na Benaqab Zamaana Kharaab Hai
Matalab Chhupa Huva Hai Yahaan Har Sawaal Mein 4
Do Sochkar Jawaab Jamaana Kharaab Hai 2
Aur Usape Ye Shabaab Jamaana Kharaab Hai
Niklo Na Benaqab Zamaana Kharaab Hai
Raashid Tum Aa Gaye Ho Na Aakhir Fareb Mein 4
Kehate Na The Janaab Zamaana Kharaab Hai 2
(Aur Usape Ye Shabaab Zamaana Kharaab Hai Niklo Na Benaqab Zamaana Kharaab Hai) 2 Zamaana Kharaab Hai 4

Every night in my dreams,Titanic

Every night in my dreams
I see you. I feel you.
That is how I know you go on.

Far across the distance
And spaces between us
You have come to show you go on.

Near, far, wherever you are
I believe that the heart does go on
Once more you open the door
And you're here in my heart
And my heart will go on and on

Love can touch us one time
And last for a lifetime
And never let go till we're gone

Love was when I loved you
One true time I hold to
In my life we'll always go on

Near, far, wherever you are
I believe that the heart does go on
Once more you open the door
And you're here in my heart
And my heart will go on and on

There is some love that will not
go away

You're here, there's nothing I fear,
And I know that my heart will go on
We'll stay forever this way
You are safe in my heart
And my heart will go on and on

Jadu Teree Najar Khushbu Teraa Badan

jadu teree najar, khushbu teraa badan too han kar ya naa kar, too hai meree kiran jadu teree najar.........

mere khwabo kee tasvir hai too bekhabar meree takdir hai too too kisee aur kee ho naa jana kuchh bhee kar jaunga mai divana too han kar ya na.........

fasle aur kam ho rahe hain dur se pas ham ho rahe hain mang lunga tujhe asaman se chhin lunga tujhe iss jahan se too han kar ya na.........

Mere Mehboob Qayamat Hogi

Mere Mehboob Qayamat Hogi aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi meri Nazrein To Gila Karti Hain tere Dil Ko Bhi Sanam Tujhse Shikayat Hogi mere Mehboob...

teri Gali Maein Aata Sanam nagma Wafa Ka Gaata Sanam tujhse Suna Na Jaata Sanam phir Aaj Idhar Aaya Hoon Magar Yeh Kehne Maein Deewana khatm Bas Aaj Yeh Vehshat Hogi aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi mere Mehboob...

meri Tarah Tu Aahen Bhare tu Bhi Kisise Pyar Kare aur Rahe Voh Tujhse Parey toone O Sanam Dhaye Hain Sitam To Yeh Tu Bhool Na Jaana ki Na Tujhse Bhi Inayat Hogi aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi mere Mehboob...

mere Mehboob Qayamat Hogi aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi naam Niklega Tera Hi Lab Se jaan Jab Iss Dil-e-nakam Se Rukhsat Hogi mere Mehboob...

mere Sanam Ke Dar Se Agar baad-e-saba Ho Tera Guzar kehna Sitamgar Kuchh Hai Khabar tera Naam Liya Jab Tak Bhi Jiya Ae Shama Tera Parwana jisse Tujhe Aaj Bhi Nafrat Hogi aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi mere Mehboob...

Lal Dupatta Malmal Ka,Ab Dava Ki Zaroorat Nahi

Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz

Ab Dava Ki Zaroorat Nahi Mujhako Dard-e-jigar Ke Liye

ik Nazar Teri Mere Maseeha Kaafi Hai Umra Bhar Ke Liye

ab Dava Ki Zaroorat ...

main Hoon Beemaar-e-dil Meri Taskeen Ki Har Dava Teri Palkon Ke Parde Mein Hai maine Maangi Hai Jo Zindagi Ke Liye Vo Dua Teri Palkon Ke Parde Mein Hai parde Parde Mein

Ik Adaa Teri ik Nazar Teri Mere ....

pyaar Tera Mile Tu Mile Na Mile Tera Gam Jaan-e-man Sabase Pyara Mujhe

ho Karam Yaar Ka Mile To Sansaar Ka Har Aalam Har Sitam Hai Ganvaara Mujhe

sabke Badle Mein Ik Hansi Teri ik Nazar Teri Mere ...

Lal Dupatta Malmal Ka ,Tumne Rakh To Li Tasveer Hamaari

Anuradha Paudwal
Pankaj Udhas
Tumne Rakh To Li Tasveer Hamaari Par Ye Na Ho Ki Jis Tarah Mausam Badalta Hai Vaise Hi Tumko Bhi Dekhoon Rang Badalte Hue Tumne Rakh To Li ...
Hamane Rakh To Li Tasveer Tumhaari Par Yoon Bhi Hai Ki Jis Tarah Mausam Badalata Hai Tasveeron Ko Bhi Dekha Hai Rang Badalate Hue
Aaj To Milakar Yaad Rahi Kaash Ye Kal Bhi Yaad Rahe Baat To Jab Hai Jaan E Jahaan Dhyaan Mera Mere Baad Rahe Ban To Baithe Hain Taqadeer Hamaari Hamne Rakh To Li ...
Tum Jaise In Raahon Mein Kitane Chale Aur Chhoot Gae Kitane Haseenon Ke Vaade Dil Ki Tarah Toot Gae Kaash Na Toote Zanjeer Hamaari Tumne Rakh To Li ...

Lal Dupatta Malmal Ka

Anuradha Paudwal
Mukesh
Kya Karte The Saajana Tum Hamase Duur Rahake Ham To Judaai Mein Akele Chhup Chhup Ke Roya Karate The
Kya Batalaayen Jaan E Jaan Ham Tumse Duur Rahake Aqsar Duaaon Mein Khuda Se Tumko Hi Maanga Karte The
Jo Poochhati Thi Sakhiyaan Bechaari Ye Rog Kaisa Tujhako Hai Pyaari Chhup Chhup Unka Munh Dekhati Thi Karti Bhi Kya Main Biraha Ki Maari
Vo Din Bhi Kya Din The Sanam Majaboor Tum Laachaar Ham Bas Aahen Bhara Karte The Tumko Hi Maanga Karte The ...
Maana Judaai Ka Mausam Bura Tha Uska Bhi Lekin Apna Mazaa Tha Thoda Tadapna Thoda Sisakna Sach Poochhiye To Achchha Laga Tha
Kya Cheez Hai Ye Pyaar Bhi Sukh Mein Haseen Duhkh Mein Haseen Na Poochho Ki Kya Karate The Tumko Hi Maanga Karte The ...

Banjar Hai Sab Banjar Hai

banjar hai sab banjar hai -2, ham dhundane jab firdos chale
teree khoj talaash me dekh piya, ham kitne kaale kos chale
banjar hai sab banjar hai
(mainda yaar mila de saaiyaan, (ek vaar mila de saaiyaan -2)) - (2)

maine fota fota falak chaanna, maine tote tote taare chune - (2)
mainda yaar mila de saaiyaan, (ek vaar mila de saaiyaan -2)
taaro kee chamak yeh subah talak, lagatee hee nahee pal bhar ko talak - (2)
saaiyaan, saaiyaan, saaiyaan
maine fota fota falak cahanna -2, maine tote tote taare chune
sirf ek teree aahat ke liye, khankar patthar but saare sune
und vene te ruswaaiyaan
mainda yaar mila de saaiyaan, (ek vaar mila de saaiyaan -2)
banjar hai sab banjar hai -4, ham dhundane jab firdos chale
teree khoj talaash me dekh piya, ham kitne kaale kos chale
banjar hai sab banjar hai

aa dekh meree peshaanee ko, takdir ke harfe likhe hain
pairo ke nishaan jab dekhe jaha, sau bar jhukaya sar ko vaha
aa dekh meree peshaanee ko, takdir ke harfe likhe hain
mai kitnee baar pukaaru tujhe, tere naam ke safhe likhe hain
tere saaya kahee toh bolega -2, mai chunta raha parchhaaiya
mainda yaar milaade saaiyaan, saaiyaan

Chandu Ke Chacha Ne Chandu Ki Chachi Ko

get up, get up n dance...........

hath hawa me aise uthaao, tang se tango karke dikhao
come to kamariya jamke hilao, sans bharo tum sath me gao

gao jab tak sans hai baki, gao itni jor se taaki
jo sunle woh gum ho jaye, chodke sab kuchh woh bhi gaye
(chandu ke chacha ne, chandu ki chachi ko
chandi ke chamche se chatni chatai) - (2)

chandu ke chacha ne mara chance
chachi ko bole dance wit me, cha cha cha
chachi babe babe, chal hat chat phut du kya
chacha se chachi boli, don' t touch my chanya choli
aur chachi ne chacha ko diya chamaat
1, 2, 3, 4, chacha get on the floor

panchi ke jaise hawa me udd jao, aage aate aate piche mud jao
come to kamariya jam ke hilao, sans bharo tum sath me gao

nacho jab tak hosh hai baki, nacho jab tak josh hai baki
kal yeh pal aaye na aaye, jane kal ko kya ho jaye

get up, get up n dance.....
get up- n dance (till fades)

dil Deta Hai Ro Ro Duhaai Kisise Koi Pyar Na Kare

(dil Deta Hai Ro Ro Duhaai Kisise Koi Pyar Na Kare) - 2
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare
(kisise Koi Pyar Na Kare) - 2
dil Deta Hai Ro Ro Duhaai Kisise Koi Pyar Na Kare
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare

koi Samjhe Kisiko Na Apana Jhuta Nikalega Jeevan Ka Sapana - 2
ganv Ganv Pukare Shehnai Kisise Koi Pyar Na Kare
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare

sej Pe Baithi Roye Sajaniya Bhaa Gayi Saajana Ko Soutaniya) - 2
haay Nikla Balam Harjaai Kisise Koi Pyar Na Kare - 2
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare

pyar Ne Kuchh To Pagal Banaya Aur Kuchh Zindagi Ne Sataya - 2
khub Apani Hue Jag Hasaai Kisise Koi Pyar Na Kare - 2
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare
kisise Koi Pyar Na Kare - 2

dil Deta Hai Ro Ro Duhaai Kisise Koi Pyar Na Kare - 2
badi Mehengi Padegi Judaai Kisise Koi Pyar Na Kare

Sachchaai Chhup Nahin Sakti

Movie: Dushman
Sachchaai Chhup Nahin Sakti, Banaavat Ke Usoolon Se
ki Khushboo Aa Nahin Sakti, Kabhi Kaagaz Ke Phoolon Se
maein Intezaar Karoon, Ye Dil Nisaar Karoon
maein Tujhse Pyaar Karoon, O Magar Kaise Aitbaar Karoon
jhootha Hai Tera Vaada
vaada Tera Vaada, Vaada Tera Vaada
vaade Pe Tere Maara Gaya, Banda Maein Seedha Saadha
vaada Tera Vaada...

tumhari Zulf Hai Ya, Sadak Ka Mod Hai Yeh
tumhari Aankh Hai Ya, Nashe Ka Tod Hai Yeh
kaha Kab Kya Kisi Se, Tumhein Kuchh Yaad Nahin
hamaare Saamne Hai, Hamaare Baad Nahin
kitaab-e-husn Mein To, Vafa Ka Naam Nahin
arey Mohabbat Tum Karogi ,tumhaara Kaam Nahin
akadti Khoob Ho Tum, Meri Mehboob Ho Tum
nigaah-e-gair Se Bhi, Magar Mansoob Ho Tum
kisi Shaayar Se Poochho, Ghazal Ho Ya Rubaai
bhari Hai Shaayari Mein, Tumhaari Bewafaai Ho...
daaman Mein Tere Phool Hain Kam, Aur Kaante Hain Zyaada
vaada Tera Vaada...

taraane Jaanti Hai, Fasaane Jaanti Hai
kai Dil Todne Ke, Bahaane Jaanti Hai
kahin Pe Soz Hai Tu, Kahin Pe Saaz Hai Tu
jise Samjha Na Koi, Vahi Ek Raaz Hai Tu
kabhi Tu Rooth Baithi, Kabhi Tu Muskuraai
are Kisi Se Ki Mohabbat, Kisi Se Bewafaai
udaae Hosh Tauba, Teri Aankhen Sharaabi
zamaane Mein Hui Hai, Inhin Se Har Kharaabi
bulaae Chhaanv Koi, Pukaare Dhoop Koi
tera Ho Rang Koi, Tera Ho Roop Koi Ho...
kuchh Phark Nahin Naam Tera, Raziya Ho Ya Raadha
vaada Tera Vaada...

Sri Ram Chandra Kripalu Bhajman

Lyrics of Sri Ram Chandra Kripalu Bhajman :


Shriramachandra kripalu bhaju man haran bhavabhai darunam,
Navakanja-lochana, kanjamukha, kara kanja pada kanjarunam.


O my heart! Sing praises of Sri Ram, Who absolves the greatest fears due to the cycle of life and death, and Whose eyes, mouth, hands, and feet are like a newly blooming red lotus


Kandarpa aganita amit chavinava neel-neeraja sundaram,
Pata peet manahu tadita ruchi shuchi noumi, janaka sutavaram.

I bow to Sri Ram, Whose beauty cannot be compared with that of the cupid Kamdev, Whose pleasing appearance is beyond any measures, Whose body is like a newly formed dense blue cloud, Whose yellow robes are shining like lightening (on His cloud like body), Whose beauty is gleaming, and Who is the consort of the daughter of Janak (Sita)


Bhaju deenbandhu dinesh danav-daitya-vansha-nikandanam,
Raghunand anandakand koshalachandra dasharath-nanadanam.

Sing praises of Sri Ram, Who is the friend of poor, Who is the Lord of Sun, Who expurgated the lineage of demons from Danu and Diti, Who is the dear one of Raghu, Who is like a cloud of happiness, Who is like a moon for Kausalya, and Who is dear one of Dashrath

Sira mukuta kundala tilaka charu udaru anga vibhushanam,
Aajaanubhuja shara-chaapa-dhara, sangrama-jita-khara dushanam.


Sing praises of Sri Ram, Who has a beautiful crown on His head, Who is adorned with ear-hoops, Who has a beautiful colored mark (tilak) on His forehead, Who has expanded and beautiful organs decorated by ornaments, Who has long hands reaching His knees, Who holds a bow and an arrow, and Who defeated Khar and Dushan in a fierce battle

Iti vadati tulasidasa shankara-sesha-muni-mana-ranjanam,
Mama hridai kanja-nivaasa kuru, kaamaadi khala-dala-ganjanam


Tulsidas says this; Ram, the enticer of Shiv, Shesh (Sheshnag), and saints, reside in my lotus-like-heart and destroy the evils generated by desire

Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware

Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Hai Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se…

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se…

Maein Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jaagte Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se…

Ishq chupta nahin chupaane se

Ishq chupta nahin chupaane seIshq chupta nahin chupaane se Tera aashiq hoon main zamaane se (3)Rok na mujhko paas aane seRok na mujhko paas aane seTera aashiq hoon main zamaane se (3)Ishq chupta nahin chupaane seAb mujhe **** ke na jaana tumDil mera tod ke na jaana tumAb mujhe **** ke na jaana tumDil mera tod ke na jaana tumTum to aaye ho manaane seKho na jaana kisi bahaane seJaan jaati hai tere jaane seJaan jaati hai tere jaane seTera aashiq hoon main zamaane seTera aashiq hoon main zamaane seIshq chupta nahin chupaane seMehboob, mehboob, mehboob, mehboobMere mehboob kya tumhe hai khabbarHar jagah tumko dhoondti hai nazarMere mehboob kya tumhe hai khabbarHar jagah tumko dhoondti hai nazarDekh ke tumko jeeta marta hoonHar ghadi yaad tumko karta hoonBhool sakta nahin bhulaane seBhool sakta nahin bhulaane seTera aashiq hoon main zamaane seTera aashiq hoon main zamaane seIshq chupta nahin chupaane seTera aashiq hoon main zamaane seRok na mujhko paas aane seTera aashiq hoon main zamaane seTera aashiq hoon main zamaane seIshq chupta nahin chupaane seIshq chupta nahin chupaane se
Jalate hai bade shauk se diloN maiN "Saccha_pyar"...ek din khathm ho jata hai iska wajood jal jal ke yaar...

Salaam E Ishq Meri Jaan Zara Kabool Kar Lo

Salaam E Ishq Meri Jaan Zara Kabool Kar Lo Salaam E Ishq Meri Jaan Zara Kabool Kar Lo Tum Humse Pyaar Karne Ki Zara Si Bhool Kar Lo Mera Dil Bechain Hai Mera Dil Bechain Hai Humsafar Ke Liye Mera Dil Bechain Hai Humsafar Ke Liye Salaam E Ishq Meri Jaan..........
Main Sunaoon Tumhe Baat Ik Raat Ki(Ho Ho Ho Ho Ho) Main Sunaoon Tumhe Baat Ik Raat Ki Chaand Bhi Apni Puri Jawani Mein Tha Dil Mein Tufaan Tha Ek Armaan Tha Dil Ka Tufaan Apni Rawani Mein Tha Ek Badal........... Ek Badal Udhar Se Chala Jhoom Ke Dekhte Dekhte Chaand Pe Chha Gaya Chaand Bhi Kho Gaya Uske Aaghosh Mein Uff, Yeh Kya Ho Gaya Josh Hi Josh Mein Mera Dil Tadpa Mera Dil Tadpa Kisi Ki Nazar Ke Liye Salaam E Ishq Meri Jaan..........
Iske Aage Ki Ab Dastaan Mujhse Sun(Ho Ho Ho Ho Ho) Iske Aage Ki Ab Dastaan Mujhse Sun Sun Ke Teri Nazar Dabdaba Jayagi Baat Dil Ki Jo Ab Tak Tere Dil Mein Thi, Mera Dawa Hai Hoton Pe Aa Jayegi Tu Masiha……….. Tu Masiha Mohabbat Ke Maron Ka Hai(Slow) Tu Masiha Mohabbat Ke Maron Ka Hai Hum Tera Naam Sun Kar Chale Aaye Hain Ab Dua De Hamein Ya Tu De De Zeher Teri Mehfil Mein Ye Dil Jale Aaye Hain Ek Ehsaan Kar…….. Ehsaan Kar(Slow) Ek Ehsaan Kar, Apne Mehmaan Par Apne Mehmaan Par Ek Ehsaan Kar De Duaein De Duaein Use Umra Bhar Ke Liye Salaam E Ishq Meri Jaan…..

Salaam-e-Ishk Meree Jaan

Ishkawaalon Se Naa Poochho, Ke Un Kee Raat Kaa Aalam Tanahaa Kaise Gujarataa Hai Judaa Ho Humasafar Jis Kaa, Wo Us Ko Yaad Karataa Hai Naa Ho Jis Kaa Koee Wo Milane Kee Fayraad Karataa Hai
Salaama Ye Ishk Meree Jaan, Jaraa Kabool Kar Lo Tum Hum Se Pyaar Karane Kee Jaraa See Bhool Kar Lo Meraa Dil Bechain Hain Humasafar Ke Liye
Mai Sunaaoo Tumhe Baat Yek Raat Kee Chaand Bhee Apanee Pooree Jawaanee Pe Thaa Dil Mein Tufaan Thaa, Yek Aramaan Thaa Dil Kaa Tufaan Apanee Rawaanee Pe Thaa Yek Baadal Udhar Se Chalaa Zoom Ke Dekhate Dekhate Chaand Par Chhaa Gayaa Chaand Bhee Kho Gayaa Us Kee Aagosh Me Uf Ye Kyaa Ho Gayaa Josh Hee Josh Me Meraa Dil Tadapaa, Kisee Kee Najar Ke Liye
Is Ke Aage Kee Ab Daasataa Muz Se Sun Sun Ke Teree Najar Dabadabaa Jaayegee Baat Dil Kee Jo Ab Tak Tere Dil Mein Thee Meraa Daawaa Hain Honthhon Pe Aa Jaayegee Too Maseehaa Mohabbat Ke Maaron Kaa Hai Hum Teraa Naam Sun Ke Chale Aaye Hai Ab Dawaa De Humei Yaa Too De De Jahar Teree Mahafeel Mein Ye Dil Jale Aaye Hai Yek Yehasaan Kar, Apane Mehumaan Par Apane Mehumaan Par, Yek Yehasaan Kar De Duwaayen Tuze Umarbhar Ke

Milatii Hai Zindagii Mein Mohabbat Kabhii Kabhii

Milatii Hai Zindagii Mein Mohabbat Kabhii Kabhii Hotii Hai Dilbaron Kii Inaayat Kabhii Kabhii
Sharmaa Ke Muh Na Pher Nazar Ke Savaal Par Laatii Hai Aise Mod Par Qismat Kabhii Kabhii
Khulate Nahiin Hain Roz Dariche Bahaar Ke Aatii Hai Jaan E Man Ye Qayaamat Kabhii Kabhii
Tanahaa Na Kat Sakenge Javaanii Ke Raaste Pesh Aaegii Kisiikii Zaruurat Kabhii Kabhii
Phir Kho Na Jaaen Ham Kahiin Duniyaa Kii Bhiid Mein Milatii Hai Paas Aane Kii Muhalat Kabhii Kabhii
Hotii Hai Dilbaron Kii Inaayat Kabhii Kabhii Milatii Hai Zindagii Mein Mohabbat Kabhii Kabhii ...