Support the Haiti Disaster Relief Effort

About Me

Delhi, Delhi, India

Tuesday, April 13, 2010

Milatii hai zindagii mein mohabbat kabhii kabhii

Milatii Hai Zindagii Mein Mohabbat Kabhii Kabhii
Hotii Hai Dilbaron Kii Inaayat Kabhii Kabhii
Sharmaa Ke Muh Na Pher Nazar Ke Savaal Par
Laatii Hai Aise Mod Par Qismat Kabhii Kabhii
Khulate Nahiin Hain Roz Dariche Bahaar Ke
Aatii Hai Jaan E Man Ye Qayaamat Kabhii Kabhii
Tanahaa Na Kat Sakenge Javaanii Ke Raaste
Pesh Aaegii Kisiikii Zaruurat Kabhii Kabhii
Phir Kho Na Jaaen Ham Kahiin Duniyaa Kii Bhiid Mein
Milatii Hai Paas Aane Kii Muhalat Kabhii Kabhii
Hotii Hai Dilbaron Kii Inaayat Kabhii Kabhii
Milatii Hai Zindagii Mein Mohabbat Kabhii Kabhii ...

Hamare baad tumhe apna banane kaun aayega

Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega
Badi Mushkil Hai Chaahat Ki Sabhi Rasmein Sabhi Kasmein
Badi Mushkil Hai Chaahat Ki Sabhi Rasmein Sabhi Kasmein (2x)
Kareinge Pyaar Sab Lekin Nibhaane Kaun Aayega
Kareinge Pyaar Sab Lekin Nibhaane Kaun Aayega

Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Kahin Majbooriyan Hongi, Kahin Tanhaaiyaan Hongi
Kahin Majbooriyan Hongi, Kahin Tanhaaiyaan Hongi (2x)
Tumhe Har Mod Pe Rasta Dikhaane Kaun Aayega
Tumhe Har Mod Pe Rasta Dikhaane Kaun Aayega

Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega
Zaroorat Har Kisi Ko Hogi, Teri Meherbaani Ki
Zaroorat Har Kisi Ko Hogi, Teri Meherbaani Ki (2x)
Sitam Seh Kar Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Sitam Seh Kar Tumhe Apna Banane Kaun Aayega

Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega
Hamare Baad Tumhe Apna Banane Kaun Aayega
Rulaane To Sab Aayeinge, Hasaane Kaun Aayega

Thursday, April 8, 2010

jo vaada kiya woh nibhaana padega

jo vaada kiya woh nibhaana padega
roke jamaana chaahe roke khudaayee, tumako aana padega


tarasatee nigaaho ne aawaaj dee hai
mohabbat kee aaho ne aawaaj dee hai
jaane haya jaane ada chhodo tarsaana
tumako aana padega

yeh maana hame jaan se jaana padega
par yeh samajh lo tumane jab bhee pukaara
tumako aana padega...
ham apanee wafa pe na iljaam lenge
tumhe dil diya hai tumhe jaan bhee denge
jab ishk kaa sauda kiya, phir kya ghabraana
hamako aana padega.......

chamakate hain jab tak yeh chaand aur tare
na tutenge abb keh do paiman hamaare
ek dusara jab de sada hoke dewaana
hamako aana padega.......

dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai

dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai
ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai

tufaan mein hum ko chhod ke saahil pe aa gaye
na khuda ka humne inhe naam diya hai

pahale to hosh chhin liye julmon sitam se
diwaanagi ka fir humein iljaam diya hai

apane hi giraate hain nasheman pe bijaliya
gairon ne aake phir bhi use thaam diya hai

Dil ne dhadakna chhod diya

Woh Mera Raunak-e-mehfil Kahan Hai
meri Bijli, Mera Haasil Kahan Hai
mukaam Uska Hai Dil Ki Khalbaton Mein
khuda Jaane Mukaam-e-dil Kahan Hai
o O O... O O O... Aa Aa Aa... Aa Aa Aa...
jis Din Se Juda Woh Humse Hue, Is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya,
is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya
hai Chand Ka Munh Utra Utra, Taaron Ne Chamakna Chhod Diya,
taaron Ne Chamakna Chhod Diya

woh Paas Hamare Rehte They, Berut Bhi Bhahaar Aa Jaati Thi
woh Paas Hamare Rehte They, Berut Bhi Bhahaar Aa Jaati Thi
ab Laakh Bhahaarein Aayein To Kya, Ab Laakh Bhahaarein Aayein To Kya
phoolon Ne Mahakna Chhod Diya, Phoolon Ne Mahakna Chhod Diya
hai Chand Ka Munh Utra Utra, Taaron Ne Chamakna Chhod Diya,
is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya

humraah Koi, Saathi Bhi Nahin, Ab Yaad Koi Baaki Bhi Nahin
humraah Koi, Saathi Bhi Nahin, Ab Yaad Koi Baaki Bhi Nahin
ab Phool Khile Jakhmon Ke Kya, Ab Phool Khile Jakhmon Ke Kya,
aankhon Ne Barasna Chhod Diya,
aankhon Ne Barasna Chhod Diya
hai Chand Ka Munh Utra Utra, Taaron Ne Chamakna Chhod Diya,
is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya

humne Yeh Duvaa Jab Bhi Maangi, Taqdeer Badal De Aye Maalik
humne Yeh Duvaa Jab Bhi Maangi, Taqdeer Badal De Aye Maalik
awaaz Aayi Ke Ab Humne, Awaaz Aayi Ke Ab Humne, Taqdeer Badalna Chhod Diya,
taqdeer Badalna Chhod Diya
hai Chand Ka Munh Utra Utra, Taaron Ne Chamakna Chhod Diya,
taaron Ne Chamakna Chhod Diya
jis Din Se Juda Woh Humse Hue, Is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya,
is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya
jis Din Se Juda Woh Humse Hue, Is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya,
is Dil Ne Dhadakna Chhod Diya
hun Hun Hun... Aa Aa Aa...

Yad yad bus yad yad reh jatee hai

Singers: Ghulam Ali
Lyricist: Sameer
Music Director : Nadeem-Shravan


tadap yeh ishk kee dil se kabhee nahee jatee
kee jan de dekar bhee devangi nahee jatee
naa janey woh kaun see dunia hai woh mere rabba jaha
se lautke koyee sada nahee aati

o ho o o o...
ishk me toh har chij mit jatee hai, bekari bankar hame tadpati hai
yad yad bus yad yad reh jatee hai - (2)
ishk me toh har chij mit jatee hai,
bekari bankar hame tadpati hai
yad yad bus yad yad reh jatee hai - (2)
woh teree yad - (2)
karke tanha yeh jindagani, kyu gayi chhod ke kahanee
abb yeh asu piya naa jaye, bin tere abb jiya naa jaye

dard se tute meree sanse, jhakm dil kaa siya naa jaye
aja aja meree wafa tujhe bulati hai, yad yad reh jatee hai
yad yad bus yad yad reh jatee hai - (2)

woh teree yad, yad me dekho bana hai yeh hasin tajmahal
yad me koyee likhe shamo sehar shokh ghajhal - (2)
dil ke dariya me khilta hai khwabo kaa kawal
yad aate hai hamesha woh gujre huye pal

too nahee hai teree yade mujhe satati hai - (2)
yad yad reh jatee hai
yad yad bus yad yad reh jatee hai - (2)
woh teree yad.....

Ishq chupta nahin chupaane se

Ishq Chupta Nahin Chupaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
ishq Chupta Nahin Chupaane Se
ishq Chupta Nahin Chupaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se (3x)
rok Na Mujhko Paas Aane Se
rok Na Mujhko Paas Aane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se (3x)
ishq Chupta Nahin Chupaane Se

ab Mujhe Chod Ke Na Jaana Tum
dil Mera Tod Ke Na Jaana Tum
ab Mujhe Chod Ke Na Jaana Tum
dil Mera Tod Ke Na Jaana Tum
tum To Aaye Ho Manaane Se
kho Na Jaana Kisi Bahaane Se
jaan Jaati Hai Tere Jaane Se
jaan Jaati Hai Tere Jaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
ishq Chupta Nahin Chupaane Se
mehboob, Mehboob, Mehboob, Mehboob
mere Mehboob Kya Tumhe Hai Khabbar
har Jagah Tumko Dhoondti Hai Nazar
mere Mehboob Kya Tumhe Hai Khabbar
har Jagah Tumko Dhoondti Hai Nazar
dekh Ke Tumko Jeeta Marta Hoon
har Ghadi Yaad Tumko Karta Hoon
bhool Sakta Nahin Bhulaane Se
bhool Sakta Nahin Bhulaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
ishq Chupta Nahin Chupaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
rok Na Mujhko Paas Aane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
tera Aashiq Hoon Main Zamaane Se
ishq Chupta Nahin Chupaane Se ishq Chupta Nahin Chupaane Se